Rasam Yeh hai Rivaaj Yeh
Rasam yeh hai rivaaj yeh hai
Dastoor yeh hai samaaj yeh hai
Jo hum se kuch kuch bana ke rakhay
unhi se apni bigaar rakhna mizaaj yeh hai
hum hi ko kehte hain sir phiray ho
hum hi se saaray gilay hain tum ko
aao tum ko apni sunaein
yeh nayaab pathar tum ko dekhayeen
kabhi yeh dil tha
phir yun sun-hwa ke
mohabbaton ney gilaay lagaya
mousamoo ney warghlaya
ik majnu ney sir charhaya
phir woh majnu dil taq aaya
hum ney yeh dil usay thmaya
phir yun sun-hwa ke
jab kabhi bhi woh majnu miley to
yeh dil yun dhadke ke duniya bhi sun le
sun ke dharkan mein dar gayi thi
yeh andaaz is ko bhala laga tha
kehnay laga woh gilaay laga kar
tum kuch pagal pagal si ho
is ki un baton mein
dar apna mein bhool gayi thi
chand din aisay guzray hi they
dil kuch khush khush rehta tha
phool mujhe yun bhanay lagey
baghoon ki taraf mujhe bulanay lagey
phoolon ka ik baagh mila jo
is baagh ke sadqy vari thi mein
dil phir se waisay hi dhadka tha
yeh to wohi ehsas tha
laga mujhe woh kuch paas hi tha
jo murr ke dekha bohat paas tha woh
aur ke raha tha. . kuch pagal pagal lagti ho tum
haan woh ke raha tha aur
mukhatib uskay ik nai kalie thi
aao tum ko apni sunaein
yeh nayaab pathar tum ko dekhayeen
kabhi
0 Comments