![]() |
Baat Ko ab Barhana Ky |
Baat Ko ab Barhana Kya
baat ko ab barhana kya
dil ko aur dikhaanaa kya
jazbaat ki ho qader nahi
wahan lafzon ko sajana kya
kufl ho jab darwazay par
lout ke ghar ko jana kya
tanhaiyon se ab ghabraana kya
manzil ka ho jinhein taayun nahi
qaafley mein un ke samana kya
Dard se hon jo na aashna
zakhamo ka un se tazkrana kya
andherey ko derka ray hai kiran
aftaab ko diya dekhana kya
qader ko apni girana kya
betee qsse ko duhrana kya
Poet: Rizwana Aziz
By: Rizwana Aziz, Karachi
0 Comments