Zindagi khaak na thi


zindagi khaak nah thi khaak ura te guzri

tujh se kya kehte, tairay paas jo atay guzri

din jo guzra to kisi yaad ki ro mein guzra

shaam aayi, to koi khawab dikha te guzri

achay waqton ki tamanna mein rahi Umar rawan

waqt aisa tha ke bas naz uthatay guzri .

zindagi naam idhar hai, kisi sarshari ka

aur idhar daur se ik aas lagatay guzri

baar ha choank ki jati hai masafat dil ki

kis ki aawaz thi, yeh kis ko bulatay guzri

Post a Comment

0 Comments